Tuesday, 27 August 2013

Tasawur12

Zaban teri bay huda mulk tera alooda
   Meri ye baat baar ha ke azmooda.
Kasoor mera tha andhon ko shesha dikhata raha
  Me behron k samnay kyun been bajata raha?

Passing a kidney stone is said to be the only experience that approaches the painfulness of childbirth.No one knows for sure why this happens,but people who have had kidney stones before or who have a family history of kidney stones are at high risk for developing them again.

There are four major types of kidney stones.
  • Calcium is the most common type of stone. Calcium can combine with other substances, such as oxalate (the most common substance), to form the stone.
  • uric acid stone may form when your urine contains too much acid.
  • struvite stone may form after an infection in your urinary system.
  • Cystine stones are rare. The disease that causes cystine stones runs in families.



















High dietary intake of animal protein,sodium,refined sugars fructose,and high fructose corn syrup,oxalate,grapefruit juice,and apple juice increase the risk of kidney stone formation.Calcium is one component of the most common type of human kidney stones,calcium oxalate.The excess dietary intake of vitamin C might increase the risk of calcium oxalate stone formation, in practice this is rarely encountered.

Kidney stones are typically classified by their location and chemical composition.

Kidney Stone typePopulationCircumstancesColorSensitivityDetails
Calcium oxalate80%when urine is alkaline (ph>5.5)Black/Dark brownRadio-opaqueSome of the oxalate in urine is produced by the body. Calcium and oxalate in the diet play a part but are not the only factors that affect the formation of calcium oxalate stones. Dietary oxalate is an organic molecule found in many vegetables, fruits, and nuts. Calcium from bone may also play a role in kidney stone formation.
Calcium phosphate5–10%when urine is alkaline (high pH)Dirty whiteRadio-opaqueTends to grow in alkaline urine especially when proteus are present.
Uric acid5–10%when urine is persistently acidicYellow/Reddish brownRadiolucentDiets rich in animal proteins and purines: substances found naturally in all food but especially in organ meats, fish, and shellfish.
Struvite10–15%infections in the kidneyDirty whiteRadio-opaquePreventing struvite stones depends on staying infection-free. Diet has not been shown to affect struvite stone formation.
Cystine1–2%[43]rare genetic disorderPink/YellowRadio-opaqueCystine, an amino acid (one of the building blocks of protein), leaks through the kidneys and into the urine to form crystals.
Xanthine[44]Extremely rareBrick redRadio-opaque

Shararat bhi hai hararat bhi hai
Meri shayiri me maharat bhi hai.
Rasputin vs Rxxx


Awara to pehlay hi tha bay gairat bhi honay laga
  Rxxx nam rakh kar larkiyon k sath sonay laga.
Taqdeer k hathon me hain mayray hath
    Phir bhi ye nahi chalti mayray sath.
             Earth vs Sky
Kahan zameen kahan asmaan
Kahan musalman kahan iman.
Khudi na gira
Khudi ko utha.
    Asan nahi sahibay Iman hona
Asan nahi Marday musalman hona.
       Wah ray wah meri taleem
Achai samjhdari aur bohat azeem.

    
     Faqeeri be seekhi to kya seekhi
Cheeni bhi lagnay lagi mujhay pheeki.
Khudi ke hifazat tujh par farz hai
    Tujh say meri yehi ik arz hai.
Jati umar nahi aitebar
Me rehta hun bemar.



          








                      

   Fiction Story Man vs Bear

Aik shaks nay aik reech paal rakha tha.Jo malik k sath sath rehta tha aur malik bhi is say bohat pyar kerta tha.Aik dafa dorane safar malik ko thakavat mehsoos huvi to malik nay reech ko aik taraf bitha diya aur khud araam kernay ke garz say lait gaya aur neend k mazay laynay laga.Jab k aik makhi baar baar malik ko tang kerti thi.Ye daikh kar reech say raha na gaya.Jab makhi malik k mun par bethi to reech nay pathar utha kar malik k mun par day mara makhi to urr gai par mailk ka qisa tamam ho gaya. 
Lesson.Zer0.Unexpected often happens.
Lesson.1.Pali jo bhi wafa
               Ban gai ik saza
            Kya yehi hai jaza?
Lesson.2.Pyar bohat kuch kervata hai
                   Yahan tak k marvata hai.
Lesson.3.Samajh k bagair naiki bhi rusvai hai
                   Yahan tak k achai bhi burai hai.
Lesson.4.Na samajh dost bhi dushman say kam nahi.

                               Saint vs Mind
Hamaray Auliya dil dil keh kar dimagh ke bat batatay rahay 
           Wo to aksar dimagh ko hi dil keh jatay rahay.

RAhay salook par chal kar kya hasil
Tera salook dosron k sath acha nahi.
      Ay noor valay mujhay bhi noor ata kar
Apnay fazal o karam say meri maaf khata kar.
Qabar say dil lagana kaisa
    Miti me mil jana kaisa.
        Meri khudi ko geirat Aie
Bheak mangnay say me sharmai.
SaAy k pechay doornay say kya hasil
    Jab tak na ho bhalu banda wasil.
Kyun na jaon jab bulava aAy?
Jab wo khud pyar say bulaAy.
    SaAy k pechay bhagnay say kya hasil
Bagair murshid ratain jagnay say kya hasil.
 Paon soojh janay say koi Wali nahi hota
Bahadar ho janay say koi Ali(r.a)nahi hota.
   Har waqt rona dhona ashiqi nahi mehroomi hai
Taqdeer ka haal batana darvayshi nahi najumi hai.


             

               Baglol vs Book
 Mat parh kisi bhi wali ke koi kitab 
Jan phans jaAy ge teri andar azab.
Auliya ke kitabain bhari pari hain bazaron me
      Phir bhi nahi milta koi Lal hazaron me.

Kya karun Auliya ke kitabon ka?
iLm k ultay seeday hisabon ka?




Quran haqaiq par mabni practical book hai.Sain Baglol.  
       Kitab sirf aik hai aur wo hai Quran
Jis nay parhani parh lay nahi hai nuqsan.
    Tun kahay to me Auliya ka jhot dhika dun ga
Phir anjam chahay jo bhi ho jhagra muka dun ga.

Kahan gaya wo wali jo banana chahta tha Ali
Na wo wali raha na Ali(r.a)khuda ke zat baqi.
Musalman tujh jaisay hotay hain to me kafir hi acha hun
    Jitna tun kharant hai me to tayray agay bacha hun.
Afsos sad afsos teri soch par musalman
    Tun itna gir gaya bhol gaya quran.
     Kya yehi hai teri tauheed qabar valon say mangna?
Aunchi Aunchi taqareer kerna aur apnay number tangna.

Kaisay samjhaon me logon ko khudaya?
  Ye to samajhtay hain mujhay paraya.
Ye naqsh saray khiyali hain
  Mit'tay rahay mit jain gay.
Jo cheez larai say hasil na ho us ko muhabat say fatah kar lo.Bhalu Baglol.
     Aray kabhi apnay andar bhi khol Quran
Kab tak bana rahay ga tun kagazi musalman?
  Kyun hai tera aur mera raasta juda?
Kya nahi hai hum dono ka aik khuda?
Khilafat ho to khulfae Rashideen jaisi
Imamat ho to Imam Hussain(a.s)jaisi.
Sufia nay apni kitabon me apnay hi nazriye ka parchar kiya hai.Baglol Bagi.



Kafir ko kya musalman karun
Musalman hi yahan kafir hai.
Tayray peer lutayray hain tujhay faiz kya dain gay
           Aray jo kuch hai wo bhi loot lain gay.
 Kahan chup gaAy ghous qutab autad abdaal?
       Kya dar gaAy mujh say bahar nikaal?

Bhataktay sufiyon k liye mashalay rah hun
  Me darvaish nahi haqeqat say Agah hun.

  Tayray andar hi hain Lataif
Kyun perhata hai wird wazaif?
Kar Roshan Ism Allah
Chor day tasbi musala.

   

   Darvaish bhi hota hai nafsani
Kashaf o Karamaat ke aik kahani.
Kya bataon tujhay faqeer kya hai?
      Khuda k noor ka Aiena hai.
                   Dawate Quran
Tun kyun tilavat nahi kerta pyar say?
     Jaisay bat kar raha ho yar say.
Tayra libas kyun hai tayray firqay ke nishani?
Teri samajh me kyun nahi atin Ayate Qurani?

Namaz momin ke mayraj hai
    Par kya tun momin hai?

   

Musalman pak na huva to pak na ho ga Pakistan
Varna nam ka kya hai me bhi rakh lun ga captan.

    
     
 

Muredon k paison say jaybain bharnay valay peer
Kaisay keh saktay hain khud ko roshan zameer?
Thag lutayray dagabaz aj k faqeer
 Zalim bhokay kanjoos aj k ameer.
Na tayray gareeb achay na tayray ameer
  Na tayray faqeer achay na tayray peer.
  Ho ga jis ko meri khudi ka faizan
Phir wo ban jaAy ga aik acha insan.
Achai aur samajhdari k bagair ibadat bhi baykar hai
         Jo kehta ho khud ko naik wo rayakar hai.
Ma'ray Ma'ray phirtay hain talib galiyon bazaron me
      Phir bhi nahi milta koi murshid hazaron me.
Kabhi hotay thay Auliya ke sakhavat k charchay
  Ab to mureed uthatay hain Auliya k kharchay.
Qabron ko chomna aur chatna
    Goya apni khudi ko katna.
Na mayray andar dari hai na bahar
 Na mera batin acha hai na zahar.
Khanqahon aur Asstano ko daikh kaisay vayran hain
    Koi kamil nahi raha Aqedat mand pareshan hain.
  Moot nay na hindu chora na koi musalman
Chor gaAy sub apnay pechay ibrat ka nishan.
                 Bhalu Shah vs Bhulay Shah
Bhula bhi jhot bool gaya khodni paray ge qabar
     Qabar me bhula hi hai ab nahi hota sabar.
Qabron ke poja kernay valay mujhay shaitan kehtay hain
        Kaisay jahil log hain khud ko insan kehtay hain.
         Jug me pani na ho to glass me kaisay aAy ga?
Jo murshid khud khali ho mureed ko kya bhar paAy ga?
   Me kya kerta hun kya nahi ye meri zaat hai
Logon ko galat taleem na dun ye asal baat hai.
      Aj bhi goom phir kar udhar hi hai musalman
Jahan zamana jahiliyat k door me khara tha insan.
Bara wo hai jis me bara pan ho.Bhalu Baglol.


  Ism Allah roshan na ho to muraqba bhi kham kahyali
Varna to koi mushkil nahi hai banana maulana altaf hali.








Galat wo hai jo apni galti ke islah na karay.Bhalu Baglol.
Surm laga kar agarbati jala kar
Tun kya sabit kerna chahta hai?
Kehnay ko to hum log musalman hain
 Par Amaal say hum log shaitan hain.
Ye jo tayray molvi hain kan khatay hain shor machatay hain
  Mujhay aik bat bata ye kyun asman sir pay uthatay hain?  

Jis door k Auliya Najeeb jaisay hon 
Aisay door k shaitan kaisay hon gay   
      Aj kal k lutayray peer
Kehtay hain khud ko faqeer.
Jo khud gumrah hai wo tujhay kya rah dikhaAy ga?
 Jo khud jhota hai wo tujhay kya sach bataAy ga?
Na hanfi na Shafi
Me hun Allah mafi.
Ajab mulk hai yahan koi marta hi nahi
    Kal bhi bhuto zinda tha aur Aj bhi.
Jab bhuto zinda hai to phir fatiha kyun perhatay ho?
  Bhuto ko kursi par bithao apas me kyun lartay ho?
Jaisay ganay me roh hoti hai aisay jism me rooh hoti hai.Sain Baglol.
Shola Noor Ain Mashaq Tasawur Ism Allah ke barkat say zehan me paida hota hai,jisay Auliya Tajili Zati barqi kehtay hain.Bhalu Shah. 
Sacha wo hai jis k sath hazaron log hon
Me to sacha nahi me to abhi bacha hun.
    Jis door me shaikhul Islam Tahir Qadri jaisa ho 
Zara socho aisay door k musalman kaisay hon gay?
                     Abad vs Nation
Batair chor tetar pakar vali khail khaylo gay
  To phir buray nata'ij bhi khudi jhaylo gay.
           Na sir na paon teri bat ka
Pait hai halvay say bhara jumayrat ka.
                     Abad vs Muslim 
     Jin ko jena na aya wo mar k kya jeyain gay?
Jin ka yahan saqi nahi wo mar k kya peyain gay?
Musalman to ban gaAy laykin insan na banay
   Insan to ban gaAy laykin hayvan hi rahay.
Baglol tun kafar yahudi Esai
   Na kar logon ke masehai.
   Baglol tun kafar yahudi Esai
Tujhay nahi milni yahan pazerai.
   Aj k uqab Tavezat ke nazar ho gaAy

Jo baqi bachay gaflat ke neend so gaAy.
Kyun rota hai tariq jameel kya kuch hath nahi aya ibadat say?
  Me nay pehlay hi kaha tha youn bat nahi banti riyazat say.
                           Rxxx
Shabay aroosi ke rat bhi rx ghar na aya
Jab dhonda gaya to kisi aur k sath paya.
 Tali bajti nahi bajai jati hai
Nazar lagti nahi lagai jati hai.
Galti chahay badmash ke ho mafi phir bhi shareef ko mangni parti hai.Bhalu Baglol.
Vahmi log aksar dosron ko vahmi samajhtay hain.Bhalu Shah.
Galti hona aur bat hai galti kerna aur bat hai.Sain Baglol.
Siyasat seekhni hai to Ma k paon nahi zardari k paon dho kar peo.Bhalu Baglol.
Jo sir say paon tak galat ho us say galti ke umeed kaisi.Sain Baglol.
Kya me khul kar bata dun tujhay teri haqeqat?
   Na tun theek aur na teri banai huvi tareqat.
Pevasta raha shajar say umeeday bahar rakhi
         Par badlay me kya mila sirf makhi.
Bay khudi ke taleem meri taleem nahi
     Meem k bad phir say jeem nahi.











Baykhudi ke taleem meri taleem nahi
   Tum me say koi Ibrahim(a.s)nahi.
"I have never considered myself a poet.I have no interest in poetic artistry.
But,yes,I have a special goal in mind for whose expression I use the medium 
of poetry considering the condition and the customs of this country" 
'Allama Iqbal r.a.' 


Baglol tun kafar yahudi Esai
Teri nahi honi yahan sunvai.
Log samajhtay hain mujhay Esai
  Hath ati hai mayray bus rusvai.
Sain Baglol tun kafar yahudi Nasrani
    Kisi kam ke nahi teri musalmani.
Madad mangni hai to apnay Rab say maang
    Apni izat uataar kar rasi par mat taang.
                               Quran
Bay adbi k khof say nahi dayta havalay quran k
 Varna to me bhi khol sakta hun daftar insan k.
 Ayaat pani me ghol kar mat pe
Quran k mutabiq apni zindagi je. 
                                  Hadith 
Ahadith ko apnay matlab k liye bayan nahi kerta me 
 Tujh say zaida is mamlay me khuda say derta me.
Subhan Allah kehnay say janat me darakt lagta hai
    Par yahan par to darakt khud lagana parta hai.
                   Shirk o Bidat 
 Shirk o Bidat nay jagah bana le dil me
Jaisay sanp jagah bana layta hai bil me. 
                         Left vs Right 
Mujhay bat bat par tujhay samjhana parta hai
   Kabhi left aur kabhi right batana parta hai.
    Na sufi tayray kam ka na safi
Tun khud kyun nahi ban jata kafi? 
Tujhay Adat hai mujhay Sa'adat hai.Bhalu Baglol. 
    Bhalu Shah Ka Nara
   Bhalu baglol Atma rool
 Kachay chithay khol khol.
Kala chasma laga kar safaid chezain mat dhondh.Sain Baglol.
Kya tun rakhta hai Qalbay Saleem?
 Kyun nahi kerta phir haq tasleem?
    Rxxx vs Peer Chumi Sain
            


























               


              
           
            Abad vs Sexy Poetry
Sexy shairi ka maqsud tera imtihan hai
 Kya haqeqat me tera pukta iman hai?
   Jo RX Vali sexy shairi me phans gaya
Wo to phir samjho daldal me dhans gaya.
     Jis muasharay me ghoray shah ho sakta hai
Wahan RX jaisa musami shah kyun nahi ho sakta?
Jis muasharay me peeron k hath paon chatay jatay hain
  Wahan par RX jaisa chatay shah kyun nahi ho sakta? 
Mujhay shatan keh kar tun mujh say sharafat ke umeed kaisay rakhta hai?
   Ab me bhi daykhun ga tun mayray khilaf kya kya bakta hai? 
Tum log insan ko shatan bana kar kehtay ho shaitaniat chor do 
           Khud hi sharabi bana kar kehtay ho bottle toor do.
Mujh par zaban daraz karnay say pehlay
Hazar baar apnay gerayban me jhank lay.
Lazim hai momin par gustakh na ho
  Gustakh jo hai wo momin hi nahi.
     Tasawur Ism Allah ke barkat say roshan ho bhi jain ratain
Tab bhi tujhay chahiye mat likhay kitabon me rang birangi batain.               
Hukam k samnay daleel nahi chalti.Bhalu Shah.
Pyar say hi pyar barhata hai.Bhalu Baglol.
Ma ka vajod murshid k vajod say barh kar hai.Bhalu Shah.
Iqbal bhi faqeer tha.Abad.
Zehan me honay vali halchal vajod ko mutasir kerti hai.Baglol. 
Wilayat ka galat istamal achi bat nahi hai.Bhalu Shah.
Janvar sifat insan hi muasharti hayvan hai.Sain Baglol. 
         Apnay hi dedar ka ashiq hun me
Log mujhay samajhtay hain khuda ka ashiq.
 Tayra gunehgar banda hun na masha hun na tola
Mujh par apna khas fazal o karam kar mayray mola.
              The End 
        Tun baqi me fani
Yahan par khatam kahani.
Mujhay ilm o hikmat ata kar ya rab
  Wo bhi aisi k dang reh jain sab.
Ankhain day rakhi hain to noor bhi day
      Noor k sath jalvae toor bhi day.
Dhol dhamakay band bajay
    Nafsani logon k rajay.
Khud samajh na sakay Auliya barzakh k halaat
Kyun batatay hain fakhar say vahan k vaqiyaat? 
Tahir kya khak bataAy kya zindagi kya moot
           Alim hon ya fazil ho hi jatay foot. 
Khud samajh na sakay dosron ko samjhanay chalay
        Masla hal na huva aur bhi uljhanay chalay.
Alim chahta hai halva bhi chalta rahay aur jalva bhi mil jaAy
 Aisa to nahi hota bhaya bagair jhatkay k zameen hil jaAy.
        Izat loot le jati hai yahan
Kehtay hain insaf milay ga vahan.
Taharat kerni ati nahi kehta hai khud ko musalman
   Jihad kerna chor diya kehta hai khud ko javan.
Man gharat teri shariyat man gharat tareqat
 Man gharat qison ka majmua teri haqeqat.
Man gharat taberain teri man gharat risalay
Khudi likhta hai khudi lagata hai masawlay.
Tujhay qarar ata hai fatva laga kar
Agar bati jala kar surma laga kar.
Na tayra qibla aik na tayre kitab aik
Tun kaisay kehta hai khud ko naik?
          Kaisa hai ye mulk kaisay hain ye log?
Apni galat harkaton par kyun nahi manatay sog?
 Wali bhi kyun likhay kitab?
Akhirat me dayna hai hisab.
Mujhay dikha day discipline musalmano me
       Zindon me ya phir qabrastano me.
                Abad vs Sufi 
Kyun sufia mazhab ko bhol gaAy? 
Phansi k phanday par jhol gaAy.
Wilayat batini mamlay ka nam hai.Bhalu Baglol. 
  Masjid me beth kar pena achi bat nahi
Penay k bhi kuch Adaab huva kertay hain.
Me na samajh saka shia sunni ka jhagra
Shayad ye masla hai meri aqal say tagra.
Unity faith discipline ko bhol gaAy musalman
       Ye ban gaAy shia sunni aur Afghan.
Visit   www.Tasawur13.blogspot.com